abhi bahut hai lahu dil mein chashm-e-tar ke liye
abhī bahut hai lahū dil meñ chashm-e-tar ke liye
matā.a-e-fan ke liye zīnat-e-hunar ke liye
hai naaz mujh ko tire rāste kī dhuul banā
mirā vajūd hī thā terī rahguzar ke liye
ajab haiñ ahl-e-havas koī hausla hī nahīñ
na zaḳhm-e-dil ke liye aur na zaḳhm-e-sar ke liye
ġhamoñ ne kho diyā aisā ki muddatoñ se huuñ gum
ḳhud apnī khoj meñ phirtā huuñ maiñ ḳhabar ke liye
vahāñ bahār ke phūloñ se jashn kyā hogā
jahāñ na sang mayassar ho zaḳhm-e-sar ke liye
duā se ishq kī ġhairat ko Thes lagtī hai
duā kī bhiik na māñgūñgā maiñ asar ke liye
abhi bahut hai lahu dil mein chashm-e-tar ke liye
mataa-e-fan ke liye zinat-e-hunar ke liye
hai naz mujh ko tere raste ki dhul bana
mera wajud hi tha teri rahguzar ke liye
ajab hain ahl-e-hawas koi hausla hi nahin
na zaKHm-e-dil ke liye aur na zaKHm-e-sar ke liye
ghamon ne kho diya aisa ki muddaton se hun gum
KHud apni khoj mein phirta hun main KHabar ke liye
wahan bahaar ke phulon se jashn kya hoga
jahan na sang mayassar ho zaKHm-e-sar ke liye
dua se ishq ki ghairat ko Thes lagti hai
dua ki bhik na mangunga main asar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.