abhi chaman hai qafas to abhi qafas hai chaman
abhī chaman hai qafas to abhī qafas hai chaman
nazāra-e-chaman-e-rozgār kartā jā
chalā hai bādiya-e-justujū ko tai karne
shugūn-e-girya-e-be-iḳhtiyār kartā jā
naqāb-e-āriz-e-rangīñ haTā ke ai dilbar
jahāñ ke ban ko hamesha bahār kartā jā
ġhash aa gayā hai tamāshā.iyoñ ko jalve se
sadā sunā ke unheñ hoshiyār kartā jā
tajalliyoñ ke liye koī vaqt ḳhaas nahīñ
kiyā hai aur yūhīñ intizār kartā jā
shikanja naza.a kā jis dam haTā sadā aa.ī
ki jism-e-zār ko nazr-e-fishār kartā jā
yūhīñ balā se qayāmat kā din guzar jaa.e
gunāh apne batā.ūñ shumār kartā jā
samajhne paa.e kabhī āsmāñ na ai 'beḳhud'
ye jitnā jabr kare inkisār kartā jā
abhi chaman hai qafas to abhi qafas hai chaman
nazara-e-chaman-e-rozgar karta ja
chala hai baadiya-e-justuju ko tai karne
shugun-e-girya-e-be-iKHtiyar karta ja
naqab-e-ariz-e-rangin haTa ke ai dilbar
jahan ke ban ko hamesha bahaar karta ja
ghash aa gaya hai tamashaiyon ko jalwe se
sada suna ke unhen hoshiyar karta ja
tajalliyon ke liye koi waqt KHas nahin
kiya hai aur yuhin intizar karta ja
shikanja naza ka jis dam haTa sada aai
ki jism-e-zar ko nazr-e-fishaar karta ja
yuhin bala se qayamat ka din guzar jae
gunah apne bataun shumar karta ja
samajhne pae kabhi aasman na ai 'beKHud'
ye jitna jabr kare inkisar karta ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.