abhi chaman mein koi fitna-kar baqi hai
abhī chaman meñ koī fitna-kār baaqī hai
bahār baaqī hai zaḳhm-e-bahār baaqī hai
ye intizār kī ghaḌiyāñ kanār-e-jū-e-chashm
umiid Duub chukī e'tibār baaqī hai
tumhāre ruḳh pe haiñ kuchh ajnabī nazar ke nishāñ
tumhāre abrū pe halkā sā baar baaqī hai
sunā hai hind kī shādāb vādiyoñ meñ rafīq
bahār aa bhī chukī hai bahār baaqī hai
ajab nahīñ hai ki shabnam se maut ho jaa.e
guloñ kī tishna-labī be-shumār baaqī hai
tilism-e-ġhair nahīñ tār-e-ankabūt se kam
hazār TuuT chukā hai hazār baaqī hai
mirī bahār kī āsūdgī meñ ai 'mas.ūd'
sunā hai tū hī faqat be-qarār baaqī hai
abhi chaman mein koi fitna-kar baqi hai
bahaar baqi hai zaKHm-e-bahaar baqi hai
ye intizar ki ghaDiyan kanar-e-ju-e-chashm
umid Dub chuki e'tibar baqi hai
tumhaare ruKH pe hain kuchh ajnabi nazar ke nishan
tumhaare abru pe halka sa bar baqi hai
suna hai hind ki shadab wadiyon mein rafiq
bahaar aa bhi chuki hai bahaar baqi hai
ajab nahin hai ki shabnam se maut ho jae
gulon ki tishna-labi be-shumar baqi hai
tilism-e-ghair nahin tar-e-ankabut se kam
hazar TuT chuka hai hazar baqi hai
meri bahaar ki aasudgi mein ai 'masud'
suna hai tu hi faqat be-qarar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.