abhi dard-e-dil mein kami kahan abhi chaaragar ki talash hai
abhi dard-e-dil mein kami kahan abhi chaaragar ki talash hai
Riyaz Ghazipuri
MORE BYRiyaz Ghazipuri
abhī dard-e-dil meñ kamī kahāñ abhī chārāgar kī talāsh hai
mirī zindagī hai vo shām-e-ġham ki jise sahar kī talāsh hai
yahī shauq hai yahī mudda.ā yahī iltijā yahī aarzū
mirī zindagī jo sañvār de mujhe us nazar kī talāsh hai
mujhe rah-guzār-e-hayāt meñ pa.e-rahbarī pa.e-bandagī
tire naqsh-e-pā kī talāsh hai tire sang-e-dar kī talāsh hai
jo bhaTak rahā hai dil-e-hazīñ rah-e-āshiqī meñ idhar-udhar
kisī rāhbar kī talāsh hai kisī ham-safar kī talāsh hai
vo ġhazal ko sun ke 'riyāz' kī yahī aah kah ke guzar ga.e
kisī dil-jale kī hai dāstāñ kisī nauhagar kī talāsh hai
abhi dard-e-dil mein kami kahan abhi chaaragar ki talash hai
meri zindagi hai wo sham-e-gham ki jise sahar ki talash hai
yahi shauq hai yahi muddaa yahi iltija yahi aarzu
meri zindagi jo sanwar de mujhe us nazar ki talash hai
mujhe rah-guzar-e-hayat mein pae-rahbari pae-bandagi
tere naqsh-e-pa ki talash hai tere sang-e-dar ki talash hai
jo bhaTak raha hai dil-e-hazin rah-e-ashiqi mein idhar-udhar
kisi rahbar ki talash hai kisi ham-safar ki talash hai
wo ghazal ko sun ke 'riyaz' ki yahi aah kah ke guzar gae
kisi dil-jale ki hai dastan kisi nauhagar ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.