abhi dariya mein tughyani bahut hai
abhī dariyā meñ tuġhyānī bahut hai
sañbhal kar paaoñ rakh paanī bahut hai
salāmat hai yaqīñ kī shāḳh kaise
na.e mausam ko hairānī bahut hai
chalo kuchh peḌ raste meñ ugā.eñ
musāfir ko pareshānī bahut hai
samajhte haiñ kahāñ vo maslahat ko
na.ī nasloñ meñ nādānī bahut hai
mire chehre pe dhuñdhlāhaT hai lekin
kisī kā chehra nūrānī bahut hai
safar kā mā-hasal kyā hogā 'ātish'
Dagar manzil kī anjānī bahut hai
abhi dariya mein tughyani bahut hai
sanbhal kar paon rakh pani bahut hai
salamat hai yaqin ki shaKH kaise
nae mausam ko hairani bahut hai
chalo kuchh peD raste mein ugaen
musafir ko pareshani bahut hai
samajhte hain kahan wo maslahat ko
nai naslon mein nadani bahut hai
mere chehre pe dhundhlahaT hai lekin
kisi ka chehra nurani bahut hai
safar ka ma-hasal kya hoga 'atish'
Dagar manzil ki anjaani bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.