abhi dast-e-talab phaila rahe hain
abhī dast-e-talab phailā rahe haiñ
du’āoñ ke salīqe aa rahe haiñ
zamīñ kā haq hai jo lauTā rahe haiñ
ham apne aap ko dafnā rahe haiñ
so ab rone kī naubat aa ga.ī hai
hamāre ḳhvāb sūkhe jā rahe haiñ
hameñ kal bhī pasand utnī nahīñ thī
so duniyā aaj bhī Thukrā rahe haiñ
kisī se maañg kar laa.e haiñ jīvan
kisī kā giit hai ham gā rahe haiñ
havāoñ se koī ḳhatra nahīñ hai
diye jalne se kyoñ ghabrā rahe haiñ
ujāle ḳhud-kushī karne chale haiñ
añdhere chār-sū itrā rahe haiñ
abhi dast-e-talab phaila rahe hain
du’aon ke saliqe aa rahe hain
zamin ka haq hai jo lauTa rahe hain
hum apne aap ko dafna rahe hain
so ab rone ki naubat aa gai hai
hamare KHwab sukhe ja rahe hain
hamein kal bhi pasand utni nahin thi
so duniya aaj bhi Thukra rahe hain
kisi se mang kar lae hain jiwan
kisi ka git hai hum ga rahe hain
hawaon se koi KHatra nahin hai
diye jalne se kyon ghabra rahe hain
ujale KHud-kushi karne chale hain
andhere chaar-su itra rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.