abhi dil ko kahan rahat mili hai
abhī dil ko kahāñ rāhat milī hai
vahī ehsās-e-ġham hai ġham vahī hai
liye jaa.eñ kahāñ tak ġham ke tohfe
kahāñ tak āzmā.ish kī ghaḌī hai
ghuTā jaatā hai dam ab bastiyoñ meñ
dhueñ kī mauj har ghar se uThī hai
bhaTaktā hai vahī dasht-e-talab meñ
jo dil dīvāna-e-āsūdgī hai
nazar aatā hai zarra zarra sho.ala
ye kaisī rut havā kaisī chalī hai
kisī din be-ḳhabar ho jā.ūñ ḳhud se
musalsal fikr-e-shorīda-sarī hai
jo yuuñ dekho to ik aalam hai raushan
magar socho to har-sū tīrgī hai
har ik patthar ko hiirā kyoñ samajh leñ
har ik patthar agarche dīdanī hai
kabhī ārām-e-jāñ thī ḳhud-kalāmī
'shamīm' ab ye azāb-e-zindagī hai
abhi dil ko kahan rahat mili hai
wahi ehsas-e-gham hai gham wahi hai
liye jaen kahan tak gham ke tohfe
kahan tak aazmaish ki ghaDi hai
ghuTa jata hai dam ab bastiyon mein
dhuen ki mauj har ghar se uThi hai
bhaTakta hai wahi dasht-e-talab mein
jo dil diwana-e-asudgi hai
nazar aata hai zarra zarra shoala
ye kaisi rut hawa kaisi chali hai
kisi din be-KHabar ho jaun KHud se
musalsal fikr-e-shorida-sari hai
jo yun dekho to ek aalam hai raushan
magar socho to har-su tirgi hai
har ek patthar ko hira kyon samajh len
har ek patthar agarche didani hai
kabhi aaram-e-jaan thi KHud-kalami
'shamim' ab ye azab-e-zindagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.