abhi ghar ke masail hal karenge
abhī ghar ke masā.il hal kareñge
tirī zulfoñ kī bāteñ kal kareñge
ḳhalāoñ se palaT kar aa ga.e to
zamīnoñ kā safar paidal kareñge
tum apnī maslahat sambhāl rakkho
baġhāvat ek din pāgal kareñge
mirā kachchā makāñ mismār hogā
baras kar aur kyā bādal kareñge
tirī zulfeñ bahut yaad ā.eñgī phir
havā meñ raqs jab bādal kareñge
abhi ghar ke masail hal karenge
teri zulfon ki baaten kal karenge
KHalaon se palaT kar aa gae to
zaminon ka safar paidal karenge
tum apni maslahat sambhaal rakkho
baghawat ek din pagal karenge
mera kachcha makan mismar hoga
baras kar aur kya baadal karenge
teri zulfen bahut yaad aaengi phir
hawa mein raqs jab baadal karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.