abhi gulon mein koi joshish-e-numu to nahin
abhī guloñ meñ koī joshish-e-numū to nahīñ
abhī bahār pe duniyā-e-rang-o-bū to nahīñ
ba-rang-e-ġhuncha huā chaak chaak dāman-e-dil
kisī bhī chaak ko ab hājat-e-rafū to nahīñ
dhuāñ dhuāñ hai har ik saañs sozish-e-ġham se
ki dil meñ ātish-e-sayyāl hai lahū to nahīñ
ye aur baat hai ham-dam se hāl-e-zār kahūñ
majāl-e-arz magar tere rū-ba-rū to nahīñ
na jaane ālam-e-hastī hai kyoñ hasīn itnā
ye sochtā huuñ ki parde meñ is ke tū to nahīñ
kahīñ ḳhulūs kī mahfil na zindagī kā maqām
nahīñ nahīñ ye mirā shahr-e-ārzū to nahīñ
ḳhizāñ-parast rahe jo bahār ke dushman
dayār-e-gul meñ koī un kī aabrū to nahīñ
añdherī raat kaThin rāsta kaḌī manzil
koī ġharīb kahīñ garm-e-justujū to nahīñ
zabān-e-hāl se rūdād-e-ġham sunātā huuñ
karishma hai ye ḳhamoshī kā guftugū to nahīñ
kahīñ ye bāda-e-gulgūñ se mahkā mahkā jahāñ
'nazīr' kārgah-e-sāġhar-o-subū to nahīñ
abhi gulon mein koi joshish-e-numu to nahin
abhi bahaar pe duniya-e-rang-o-bu to nahin
ba-rang-e-ghuncha hua chaak chaak daman-e-dil
kisi bhi chaak ko ab hajat-e-rafu to nahin
dhuan dhuan hai har ek sans sozish-e-gham se
ki dil mein aatish-e-sayyal hai lahu to nahin
ye aur baat hai ham-dam se haal-e-zar kahun
majal-e-arz magar tere ru-ba-ru to nahin
na jaane aalam-e-hasti hai kyon hasin itna
ye sochta hun ki parde mein is ke tu to nahin
kahin KHulus ki mahfil na zindagi ka maqam
nahin nahin ye mera shahr-e-arzu to nahin
KHizan-parast rahe jo bahaar ke dushman
dayar-e-gul mein koi un ki aabru to nahin
andheri raat kaThin rasta kaDi manzil
koi gharib kahin garm-e-justuju to nahin
zaban-e-haal se rudad-e-gham sunata hun
karishma hai ye KHamoshi ka guftugu to nahin
kahin ye baada-e-gulgun se mahka mahka jahan
'nazir' kargah-e-saghar-o-subu to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.