abhi hai dhyan kahan wasl ke farizon par
abhī hai dhyān kahāñ vasl ke farīzoñ par
abhī vo kāḌhtī phirtī hai dil qamīzoñ par
qayām kartā huuñ aksar maiñ dil ke kamre meñ
ki jam na jaa.e kahīñ gard us kī chīzoñ par
yahī to log masīhā haiñ zindagānī ke
hazār rahmateñ hoñ 'ishq ke marīzoñ par
kisī anār-kalī ke ḳhayāl meñ ab tak
ġhulām-gardisheñ mātam-kunāñ kanīzoñ par
jalā rahī hai mire bādaloñ ke pairāhan
phuvār girtī huī malmalīñ qamīsoñ par
ġhazal kahī hai kisī be-charāġh lamhe meñ
shab-e-firāq ke kājal-zada 'azīzoñ par
ki kis dayār meñ rahnā hai kis ne kitne din
musāfiroñ ke ye likkhā gayā hai visoñ par
vo ġhaur kartī rahī hai tamām din 'mansūr'
mire libās kī uljhī huī krīzoñ par
abhi hai dhyan kahan wasl ke farizon par
abhi wo kaDhti phirti hai dil qamizon par
qayam karta hun aksar main dil ke kamre mein
ki jam na jae kahin gard us ki chizon par
yahi to log masiha hain zindagani ke
hazar rahmaten hon 'ishq ke marizon par
kisi anar-kali ke KHayal mein ab tak
ghulam-gardishen matam-kunan kanizon par
jala rahi hai mere baadalon ke pairahan
phuwar girti hui malmalin qamison par
ghazal kahi hai kisi be-charagh lamhe mein
shab-e-firaq ke kajal-zada 'azizon par
ki kis dayar mein rahna hai kis ne kitne din
musafiron ke ye likkha gaya hai wison par
wo ghaur karti rahi hai tamam din 'mansur'
mere libas ki uljhi hui krizon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.