abhi hai unki jafaon ki ek chubhan baqi
abhī hai un kī jafāoñ kī ik chubhan baaqī
fuġhāñ-o-nauhagarī kī hai kuchh agan baaqī
'ibādatoñ meñ taqaddus kā ab chalan hai kahāñ
jabīn-e-zuhd meñ sajdoñ kī hai chubhan baaqī
hai pās-e-hukm-e-ḳhudā na ḳhayāl mahshar kā
faqat hai andhe 'aqā.ed kā ab chalan baaqī
har ek gaam bichhī hai bisāt-e-rusvā.ī
na sabza-zār haiñ ab aur na vo chaman baaqī
fasurdagī ke añdheroñ meñ kho.e rahte haiñ
na vo ḳhushī hai mayassar na vo lagan baaqī
laboñ pe raqs-e-tabassum thā aaj tak mere
hai paas kuchh to mahaz ranj aur mehan baaqī
payambarī kā nahīñ shauq mujh ko ai 'mohsin'
hai dil meñ mere faqat aaj fikr-e-fan baaqī
abhi hai un ki jafaon ki ek chubhan baqi
fughan-o-nauhagari ki hai kuchh agan baqi
'ibaadaton mein taqaddus ka ab chalan hai kahan
jabin-e-zuhd mein sajdon ki hai chubhan baqi
hai pas-e-hukm-e-KHuda na KHayal mahshar ka
faqat hai andhe 'aqaed ka ab chalan baqi
har ek gam bichhi hai bisat-e-ruswai
na sabza-zar hain ab aur na wo chaman baqi
fasurdagi ke andheron mein khoe rahte hain
na wo KHushi hai mayassar na wo lagan baqi
labon pe raqs-e-tabassum tha aaj tak mere
hai pas kuchh to mahaz ranj aur mehan baqi
payambari ka nahin shauq mujh ko ai 'mohsin'
hai dil mein mere faqat aaj fikr-e-fan baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.