abhi hayat ka mahaul sazgar kahan
abhī hayāt kā māhaul sāzgār kahāñ
bhalā huzūr kahāñ aur ye ḳhāksār kahāñ
bas ek rasm-e-mulāqāt aaj baaqī hai
kisī ke dil meñ kisī ke liye bhī pyaar kahāñ
ḳhayāl-e-yār hai vaj.h-e-sukūn-e-dil lekin
ḳhayāl-e-yār kahāñ jalva-gāh-e-yār kahāñ
sunā hai yuuñ to chaman meñ bahār aa.ī hai
guloñ ke ruḳh pe magar raunaq-e-bahār kahāñ
tumhīñ ne ḳhair se muḳhtār-e-kul banāyā hai
tumhīñ batāo ki ham ko hai iḳhtiyār kahāñ
nigāh-e-mast se tū ne kabhī jo dekhā thā
vo lamhe ziist meñ milte haiñ baar baar kahāñ
na kū-e-yār chale haiñ na sū-e-dār 'hayāt'
na jaane ham bhī chale haiñ pas-e-ġhubār kahāñ
abhi hayat ka mahaul sazgar kahan
bhala huzur kahan aur ye KHaksar kahan
bas ek rasm-e-mulaqat aaj baqi hai
kisi ke dil mein kisi ke liye bhi pyar kahan
KHayal-e-yar hai wajh-e-sukun-e-dil lekin
KHayal-e-yar kahan jalwa-gah-e-yar kahan
suna hai yun to chaman mein bahaar aai hai
gulon ke ruKH pe magar raunaq-e-bahaar kahan
tumhin ne KHair se muKHtar-e-kul banaya hai
tumhin batao ki hum ko hai iKHtiyar kahan
nigah-e-mast se tu ne kabhi jo dekha tha
wo lamhe zist mein milte hain bar bar kahan
na ku-e-yar chale hain na su-e-dar 'hayat'
na jaane hum bhi chale hain pas-e-ghubar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.