abhi ek aas hai saqi ki daur-e-jam aata hai
abhī ik aas hai saaqī ki daur-e-jām aatā hai
ulaT deñ mai-kada rindoñ ko ye bhī kaam aatā hai
kuchh is tarkīb se ab āshiyāñ ābād hote haiñ
ki barbādī kā ḳhud apne hī sar ilzām aatā hai
ye kyā bad-nazmiyāñ haiñ tere maiḳhāne meñ ai saaqī
kisī ke naam kā sāġhar kisī ke naam aatā hai
mire ashkoñ se nisbat kyā tabassum ko tire lekin
shaguft-e-gul kā kuchh shabnam pe bhī ilzām aatā hai
kahāñ kī yaad kis kā zikr un kī bazm-e-rangīñ meñ
hamārā naam bhī ab to barā.e-nām aatā hai
ḳhudā shāhid ki dil se to ḳhudā kā naam letā huuñ
magar lab par jab aatā hai tumhārā naam aatā hai
adab se arsh-e-a.azam bhī jhukā detā hai sar apnā
harīm-e-quds meñ insān kā jab naam aatā hai
'shifā' ye inqalāb ik imtihāñ hai ahl-e-ulfat kā
hameñ ye dekhnā hai kaun kis ke kaam aatā hai
abhi ek aas hai saqi ki daur-e-jam aata hai
ulaT den mai-kada rindon ko ye bhi kaam aata hai
kuchh is tarkib se ab aashiyan aabaad hote hain
ki barbaadi ka KHud apne hi sar ilzam aata hai
ye kya bad-nazmiyan hain tere maiKHane mein ai saqi
kisi ke nam ka saghar kisi ke nam aata hai
mere ashkon se nisbat kya tabassum ko tere lekin
shaguft-e-gul ka kuchh shabnam pe bhi ilzam aata hai
kahan ki yaad kis ka zikr un ki bazm-e-rangin mein
hamara nam bhi ab to barae-nam aata hai
KHuda shahid ki dil se to KHuda ka nam leta hun
magar lab par jab aata hai tumhaara nam aata hai
adab se arsh-e-azam bhi jhuka deta hai sar apna
harim-e-quds mein insan ka jab nam aata hai
'shifa' ye inqalab ek imtihan hai ahl-e-ulfat ka
hamein ye dekhna hai kaun kis ke kaam aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.