abhi jawani hai mai-kade par abhi to baadal bhi hai ghanera
abhī javānī hai mai-kade par abhī to bādal bhī hai ghanerā
abhī to zinda hai husn saaqī abhī salāmat hai ishq merā
vo shab kī sāñseñ ukhaḌ rahī haiñ vo laḌkhaḌāne lagā añdherā
uTho musībat-kasho uTho bhī uTho ki hone ko hai saverā
mujhe na mahbūs kar sakegī kisī bhī pāzeb kī chhanā-chhan
giraft kī manziloñ se aage guzar chukā hai shu.ūr merā
vo sarmadī sā hasīñ tarannum latīf hoñToñ kā ik tabassum
mujhe ye ehsās kyoñ hai paiham ki jaise kuchh kho gayā hai merā
nazar uThānā idhar na 'afsar' burā hai ye dollaroñ kā chakkar
udhar udhar ho ga.ī safā.ī jidhar jidhar us ne haath pherā
abhi jawani hai mai-kade par abhi to baadal bhi hai ghanera
abhi to zinda hai husn saqi abhi salamat hai ishq mera
wo shab ki sansen ukhaD rahi hain wo laDkhaDane laga andhera
uTho musibat-kasho uTho bhi uTho ki hone ko hai sawera
mujhe na mahbus kar sakegi kisi bhi pazeb ki chhana-chhan
giraft ki manzilon se aage guzar chuka hai shuur mera
wo sarmadi sa hasin tarannum latif honTon ka ek tabassum
mujhe ye ehsas kyon hai paiham ki jaise kuchh kho gaya hai mera
nazar uThana idhar na 'afsar' bura hai ye dollaron ka chakkar
udhar udhar ho gai safai jidhar jidhar us ne hath phera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.