Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi jo gardish-e-ayyam se mila hun main

Saleem Kausar

abhi jo gardish-e-ayyam se mila hun main

Saleem Kausar

MORE BYSaleem Kausar

    abhī jo gardish-e-ayyām se milā huuñ maiñ

    samajh rahī thī kisī kaam se milā huuñ maiñ

    shikast-e-shab tirī taqrīb se zarā pahle

    diye jalātī huī shaam se milā huuñ maiñ

    ajal se pahle bhī miltā rahā huuñ par ab ke

    baḌe sukūñ baḌe ārām se milā huuñ maiñ

    tirī qabā mahak har taraf numāyāñ thī

    havā-e-vādī-e-gul-fām se milā huuñ maiñ

    maiñ jāntā huuñ makīnoñ ḳhāmushī sabab

    makāñ se pahle dar-o-bām se milā huuñ maiñ

    'salīm' naam batāyā thā ġhāliban us ne

    kal ek shā.er-e-gum-nām se milā huuñ maiñ

    abhi jo gardish-e-ayyam se mila hun main

    samajh rahi thi kisi kaam se mila hun main

    shikast-e-shab teri taqrib se zara pahle

    diye jalati hui sham se mila hun main

    ajal se pahle bhi milta raha hun par ab ke

    baDe sukun baDe aaram se mila hun main

    teri qaba ki mahak har taraf numayan thi

    hawa-e-wadi-e-gul-fam se mila hun main

    main jaanta hun makinon ki KHamushi ka sabab

    makan se pahle dar-o-baam se mila hun main

    'salim' nam bataya tha ghaaliban us ne

    kal ek shaer-e-gum-nam se mila hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now