abhi jo thoDa KHilaf sa hai
abhī jo thoḌā ḳhilāf sā hai
ye rut to badle lihāf sā hai
zamīr ḳhud-e'tirāf sā hai
gavāh vā'da-mu'āf sā hai
musālahat to maiñ kar chukā thā
ye bhaa.ī ab bhī ḳhilāf sā hai
qadam baḌhā ke yuuñ pīchhe haTnā
to jurm ke e'tirāf sā hai
akaḌ meñ jo pahne phir rahā hai
anāniyat kā ġhilāf sā hai
ye kaisī nazroñ se us ne dekhā
hamāre dil meñ shigāf sā hai
nahā ke aate haiñ chāñdnī meñ
abhī to bādal bhī saaf sā hai
hai us kā kirdār kitnā baunā
jo dekhne meñ giraffe sā hai
abhi jo thoDa KHilaf sa hai
ye rut to badle lihaf sa hai
zamir KHud-e'tiraf sa hai
gawah wa'da-mu'af sa hai
musalahat to main kar chuka tha
ye bhai ab bhi KHilaf sa hai
qadam baDha ke yun pichhe haTna
to jurm ke e'tiraf sa hai
akaD mein jo pahne phir raha hai
ananiyat ka ghilaf sa hai
ye kaisi nazron se us ne dekha
hamare dil mein shigaf sa hai
naha ke aate hain chandni mein
abhi to baadal bhi saf sa hai
hai us ka kirdar kitna bauna
jo dekhne mein giraffe sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.