abhi kahani mein bach nikalne ke raste hain
abhī kahānī meñ bach nikalne ke rāste haiñ
abhī to gintī kī dastaras meñ ye hādse haiñ
hamāre hāthoñ meñ nā-murādī kī chābiyāñ haiñ
ham apne kamre ko ik aziyyat se kholte haiñ
ye shab ko galiyoñ meñ kaun phirtā hai sar jhukā.e
charāġh tāqoñ meñ kis ke hisse kā ūñghte haiñ
kisī tarah se unheñ haqīqat meñ khīñch laa.eñ
ham apnī āñkhoñ ke sabz ḳhvāboñ ko aiñThte haiñ
vajūd-e-ḳhākī kā rañg-o-roġhan utar chukā hai
so apne hisse kā jitnā jiinā thā jī chuke haiñ
ka.ī zabānoñ ne chakh liyā hai nayā zamāna
ka.ī zabānoñ pe ab bhī maazī ke zā.iqe haiñ
malāl hotā hai jin kā Tahnī ko aaj 'qāsim'
vo ḳhushk patte havā ne kab ke uḌā diye haiñ
abhi kahani mein bach nikalne ke raste hain
abhi to ginti ki dastaras mein ye hadse hain
hamare hathon mein na-muradi ki chabiyan hain
hum apne kamre ko ek aziyyat se kholte hain
ye shab ko galiyon mein kaun phirta hai sar jhukae
charagh taqon mein kis ke hisse ka unghte hain
kisi tarah se unhen haqiqat mein khinch laen
hum apni aankhon ke sabz KHwabon ko ainThte hain
wajud-e-KHaki ka rang-o-roghan utar chuka hai
so apne hisse ka jitna jina tha ji chuke hain
kai zabanon ne chakh liya hai naya zamana
kai zabanon pe ab bhi mazi ke zaiqe hain
malal hota hai jin ka Tahni ko aaj 'qasim'
wo KHushk patte hawa ne kab ke uDa diye hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.