abhi KHayal-o-nazar ka ghubar rah mein hai
abhī ḳhayāl-o-nazar kā ġhubār raah meñ hai
bahār aa ke rahegī bahār raah meñ hai
baḌhe chalo ki vo manzil abhī nahīñ aa.ī
ye vo maqām hai jis kā shumār raah meñ hai
hamārā kyā hai divāne haiñ kuchh bhī kar guzreñ
yaqīñ karo ki tumhārā vaqār raah meñ hai
na paañv thamte haiñ apne na hausle dil ke
sunā hai jab se koī ḳhār-zār raah meñ hai
nazar lage na kahīñ us ko chāñd-tāroñ kī
jo ek zarra-e-gardūñ-shikār raah meñ hai
abhi KHayal-o-nazar ka ghubar rah mein hai
bahaar aa ke rahegi bahaar rah mein hai
baDhe chalo ki wo manzil abhi nahin aai
ye wo maqam hai jis ka shumar rah mein hai
hamara kya hai diwane hain kuchh bhi kar guzren
yaqin karo ki tumhaara waqar rah mein hai
na panw thamte hain apne na hausle dil ke
suna hai jab se koi KHar-zar rah mein hai
nazar lage na kahin us ko chand-taron ki
jo ek zarra-e-gardun-shikar rah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.