abhi kisi ko sunai nahin diya hun main
abhī kisī ko sunā.ī nahīñ diyā huuñ maiñ
purāne bāġhoñ meñ ik taaza chahchahā huuñ maiñ
nahīñ huuñ haamī maiñ na.are lagāne vāloñ kā
usī hujūm meñ lekin khaḌā huā huuñ maiñ
palaT ke dekhne kī ho agar tujhe fursat
varaq kī dūsrī jānib likhā huā huuñ maiñ
maiñ saañs lene kī zahmat meñ to nahīñ paḌtā
mujhe batāyā to hotā ki mar gayā huuñ maiñ
vo jis kī āñkheñ nahīñ haiñ vo dekhtā hai mujhe
jo rū-numā nahīñ hotā hai vāqi.a huuñ maiñ
abhi kisi ko sunai nahin diya hun main
purane baghon mein ek taza chahchaha hun main
nahin hun hami main nare lagane walon ka
usi hujum mein lekin khaDa hua hun main
palaT ke dekhne ki ho agar tujhe fursat
waraq ki dusri jaanib likha hua hun main
main sans lene ki zahmat mein to nahin paDta
mujhe bataya to hota ki mar gaya hun main
wo jis ki aankhen nahin hain wo dekhta hai mujhe
jo ru-numa nahin hota hai waqia hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.