abhi kuchh aur bhi gard-o-ghubar ubhrega
abhī kuchh aur bhī gard-o-ġhubār ubhregā
phir is ke ba.ad mirā shah-savār ubhregā
safīna Duubā nahīñ hai nazar se ojhal hai
mujhe yaqīn hai phir ek baar ubhregā
paḌī bhī rahne do maazī pe maslahat kī raakh
kuredne se faqat intishār ubhregā
hamāre ahd meñ shart-e-shanāvarī hai yahī
hai Dūbne pe jise iḳhtiyār ubhregā
shab-e-siyah kā muqaddar shikast hai 'mohsin'
dar-e-ufuq se phir anjum-shikār ubhregā
abhi kuchh aur bhi gard-o-ghubar ubhrega
phir is ke baad mera shah-sawar ubhrega
safina Duba nahin hai nazar se ojhal hai
mujhe yaqin hai phir ek bar ubhrega
paDi bhi rahne do mazi pe maslahat ki rakh
kuredne se faqat intishaar ubhrega
hamare ahd mein shart-e-shanawari hai yahi
hai Dubne pe jise iKHtiyar ubhrega
shab-e-siyah ka muqaddar shikast hai 'mohsin'
dar-e-ufuq se phir anjum-shikar ubhrega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.