abhi latafat-e-urdu zaban baqi hai
abhī latāfat-e-urdu zabān baaqī hai
vo bāñkpan vo kalām-o-bayān baaqī hai
mohabbatoñ meñ jo rahtī hai fāsle kī lakīr
abhī vo tere mire darmiyān baaqī hai
nikal ke dekh to bāzār-e-zindagī meñ zarā
mohabbatoñ kī hazāroñ dukān baaqī hai
tū dekh le to tirī aañkh bhī chhalak uTThe
badan pe zaḳhm kā saarā nishān baaqī hai
mujhe ho ḳhauf bhalā kyoñ siyāh rātoñ kā
tire ḳhayāl kā raushan jahān baaqī hai
kitāb-e-ishq-o-mohabbat meñ aaj bhī 'jāzil'
visāl-o-hijr kī ik dāstān baaqī hai
abhi latafat-e-urdu zaban baqi hai
wo bankpan wo kalam-o-bayan baqi hai
mohabbaton mein jo rahti hai fasle ki lakir
abhi wo tere mere darmiyan baqi hai
nikal ke dekh to bazar-e-zindagi mein zara
mohabbaton ki hazaron dukan baqi hai
tu dekh le to teri aankh bhi chhalak uTThe
badan pe zaKHm ka sara nishan baqi hai
mujhe ho KHauf bhala kyon siyah raaton ka
tere KHayal ka raushan jahan baqi hai
kitab-e-ishq-o-mohabbat mein aaj bhi 'jazil'
visal-o-hijr ki ek dastan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.