abhi mile hi nahin the mujhe suragh mere
abhī mile hī nahīñ the mujhe surāġh mire
havā.e vaqt ne gul kar diye charāġh mire
falak shu.ūr pe ġhālib zamīñ jibillat par
ḳhalā sameTe hue haiñ dil-o-dimāġh mire
sañbhāl rakkhegī aulād āḳhirash kab tak
qalam davāt kitābeñ bujhe charāġh mare
girā diyā tirī ta.amīr ne mirā sab kuchh
na gaañv gaañv rahā aur na baaġh baaġh mire
qadam-qadam pe mileñge lahū ke ḳhushk nishāñ
bhaTakne deñge na ā.indagāñ ko daaġh mire
abhi mile hi nahin the mujhe suragh mere
hawae waqt ne gul kar diye charagh mere
falak shuur pe ghaalib zamin jibillat par
KHala sameTe hue hain dil-o-dimagh mere
sanbhaal rakkhegi aulad aaKHirash kab tak
qalam dawat kitaben bujhe charagh mare
gira diya teri tamir ne mera sab kuchh
na ganw ganw raha aur na bagh bagh mere
qadam-qadam pe milenge lahu ke KHushk nishan
bhaTakne denge na aaindagan ko dagh mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.