abhi mohabbat ki ibtida hai dilon ke arman nikal rahe hain
abhī mohabbat kī ibtidā hai diloñ ke armāñ nikal rahe haiñ
abhī hai āġhāz mastiyoñ kā sharāb ke daur chal rahe haiñ
ajiib barsāt kā samāñ hai nazar ko har vaqt ye gumāñ hai
ki husn añgḌā.ī le rahā hai hasīn kapḌe badal rahe haiñ
abhī javānī pe haiñ umañgeñ diloñ meñ haiñ saiñkaḌoñ tarañgeñ
jo do charāġh aaj bujh rahe haiñ to das charāġh aur jal rahe haiñ
qadam qadam par thā ḳhauf-e-tūfāñ jagah jagah thā fanā kā sāmāñ
magar rahe ishq terī himmat mire irāde aTal rahe haiñ
sulag rahe haiñ abhī hamāre diloñ ke ātish-kade musalsal
jalā chuke the abhī jo ham ko ab un kī baarī hai jal rahe haiñ
nahīñ zamāne se koī shikva hameñ gila hai to sirf ye hai
tirī nazar meñ bhī ham ba-rañg-e-shikāyat-e-be-mahal rahe haiñ
huī sahar ḳhatm par hai mahfil uTho ki 'afsar' uchāT hai dil
na husn meñ ab vo dilkashī hai na zulf meñ ab vo hal rahe haiñ
abhi mohabbat ki ibtida hai dilon ke arman nikal rahe hain
abhi hai aaghaz mastiyon ka sharab ke daur chal rahe hain
ajib barsat ka saman hai nazar ko har waqt ye guman hai
ki husn angDai le raha hai hasin kapDe badal rahe hain
abhi jawani pe hain umangen dilon mein hain sainkaDon tarangen
jo do charagh aaj bujh rahe hain to das charagh aur jal rahe hain
qadam qadam par tha KHauf-e-tufan jagah jagah tha fana ka saman
magar rahe ishq teri himmat mere irade aTal rahe hain
sulag rahe hain abhi hamare dilon ke aatish-kade musalsal
jala chuke the abhi jo hum ko ab un ki bari hai jal rahe hain
nahin zamane se koi shikwa hamein gila hai to sirf ye hai
teri nazar mein bhi hum ba-rang-e-shikayat-e-be-mahal rahe hain
hui sahar KHatm par hai mahfil uTho ki 'afsar' uchaT hai dil
na husn mein ab wo dilkashi hai na zulf mein ab wo hal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.