abhi nahin ki abhi mahz istiara bana
abhī nahīñ ki abhī mahz isti.āra banā
tū yaar dast-e-haqīqat mujhe dobāra banā
ki bah na jā.ūñ maiñ dariyā kī rasm-e-ijrā meñ
qayām de mirī miTTī mujhe kināra banā
ham apnā aks to chhoḌ aa.e the par us ke ba.ad
ḳhabar nahīñ ki un āñkhoñ meñ kyā hamārā banā
mujhe jo banñā hai ban jā.ūñgā ḳhud apne aap
banāne vaale mujhe ḳhuub pāra-pāra banā
hujūm-e-shahr ki jis kī mulāzmat meñ huuñ maiñ
mire liye mirī tanhā.ī kā idāra banā
isī liye to munāfe.a meñ hai havas kā kaam
ki ishq mere liye bā.is-e-ḳhasāra banā
shikāriyoñ ko khulā chhoḌ dasht-e-ma.anī meñ
tū apne lafz ko 'ehsās' mahz ishāra banā
abhi nahin ki abhi mahz istiara bana
tu yar dast-e-haqiqat mujhe dobara bana
ki bah na jaun main dariya ki rasm-e-ijra mein
qayam de meri miTTi mujhe kinara bana
hum apna aks to chhoD aae the par us ke baad
KHabar nahin ki un aankhon mein kya hamara bana
mujhe jo banna hai ban jaunga KHud apne aap
banane wale mujhe KHub para-para bana
hujum-e-shahr ki jis ki mulazmat mein hun main
mere liye meri tanhai ka idara bana
isi liye to munafea mein hai hawas ka kaam
ki ishq mere liye bais-e-KHasara bana
shikariyon ko khula chhoD dasht-e-mani mein
tu apne lafz ko 'ehsas' mahz ishaara bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.