abhi qubul hai mujhko udas ho jaana
abhī qubūl hai mujh ko udaas ho jaanā
abhī nasīb hai qadmoñ meñ un ke so jaanā
kisī kitāb se kaise koī nikaltā hai
kisī kitāb se TuuTā gulāb to jaanā
tirī shabīh meñ dekhā jahāñ meñ jo dekhā
tirī misāl se jaanā jahāñ meñ jo jaanā
zamāna ek meñ tahlīl kar rahā hai magar
hamesha maiñ ne safed-o-siyah ko do jaanā
ye kis ke ashk paḌe haiñ ye qabr kis kī hai
ye kaun rok rahā hai kisī kā kho jaanā
ye kitnī martaba kitnoñ ke saath hotā hai
nikal kar ek safar par safar kā ho jaanā
balā ke she'r the 'āmir' balā kā shor bhī thā
balā kā shahr thā jis ne na aap ko jaanā
abhi qubul hai mujh ko udas ho jaana
abhi nasib hai qadmon mein un ke so jaana
kisi kitab se kaise koi nikalta hai
kisi kitab se TuTa gulab to jaana
teri shabih mein dekha jahan mein jo dekha
teri misal se jaana jahan mein jo jaana
zamana ek mein tahlil kar raha hai magar
hamesha main ne safed-o-siyah ko do jaana
ye kis ke ashk paDe hain ye qabr kis ki hai
ye kaun rok raha hai kisi ka kho jaana
ye kitni martaba kitnon ke sath hota hai
nikal kar ek safar par safar ka ho jaana
bala ke she'r the 'amir' bala ka shor bhi tha
bala ka shahr tha jis ne na aap ko jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.