abhi rang-e-rabt ayan hai qaus-e-KHayal se
abhī rang-e-rabt ayaañ hai qaus-e-ḳhayāl se
mujhe aur uupar uchhāl sat.h-e-visāl se
tire shahparoñ meñ zamāñ makāñ ke haiñ fāsle
tū uqaab hai to numūd kar par-o-bāl se
kabhī ban paḌe to ye kār-e-ḳhair bhī kam nahīñ
kisī aa.ine ko bachā luuñ gard-e-malāl se
mire husn-e-azmat-e-sabr-o-zabt ke naam haiñ
mujhe jo bhī pahuñchīñ aziyyateñ mirī aal se
ka.ī sar jhukeñge mirī anā kī shikast par
ka.ī hashr jaag uTheñge mere zavāl se
abhi rang-e-rabt ayan hai qaus-e-KHayal se
mujhe aur upar uchhaal sath-e-visal se
tere shahparon mein zaman makan ke hain fasle
tu uqab hai to numud kar par-o-baal se
kabhi ban paDe to ye kar-e-KHair bhi kam nahin
kisi aaine ko bacha lun gard-e-malal se
mere husn-e-azmat-e-sabr-o-zabt ke nam hain
mujhe jo bhi pahunchin aziyyaten meri aal se
kai sar jhukenge meri ana ki shikast par
kai hashr jag uThenge mere zawal se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.