abhi ranj-e-safar ki ibtida hai
abhī ranj-e-safar kī ibtidā hai
abhī se jī bahut ghabrā rahā hai
diye bujhne lage haiñ tāqchoñ meñ
har ik shai par añdherā chhā rahā hai
havā shāḳhoñ meñ chhup kar ro rahī hai
na jaane kaisā mausam aa rahā hai
ThiThurtī rut meñ zaḳhmī uñgliyoñ se
hameñ dariyā meñ sonā DhūñDhnā hai
isī ummīd par ban-bās kāTeñ
hameñ bhī ek din ghar lauTnā hai
bahut chāhūñ ki maiñ bhī haath uThā.ūñ
mire hoñToñ pe lekin bad-duā hai
abhi ranj-e-safar ki ibtida hai
abhi se ji bahut ghabra raha hai
diye bujhne lage hain taqchon mein
har ek shai par andhera chha raha hai
hawa shaKHon mein chhup kar ro rahi hai
na jaane kaisa mausam aa raha hai
ThiThurti rut mein zaKHmi ungliyon se
hamein dariya mein sona DhunDhna hai
isi ummid par ban-bas kaTen
hamein bhi ek din ghar lauTna hai
bahut chahun ki main bhi hath uThaun
mere honTon pe lekin bad-dua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.