abhi rut ko badalte dekhna hai
abhī rut ko badalte dekhnā hai
bharī shāḳhoñ ko jalte dekhnā hai
tirī baḳhshī huī ḳhil.at pahan kar
mujhe har jabr palte dekhnā hai
charāġh-e-dard tāq-e-jāñ pe rakh kar
havāoñ ko machalte dekhnā hai
zarā ik lams kī hiddat atā ho
agar patthar pighalte dekhnā hai
pahāḌī se pare un ghāTiyoñ meñ
koī chashma ubalte dekhnā hai
baḌī ma.asūm ḳhvāhish hai 'munavār'
kabhī sūraj nikalte dekhnā hai
abhi rut ko badalte dekhna hai
bhari shaKHon ko jalte dekhna hai
teri baKHshi hui KHilat pahan kar
mujhe har jabr palte dekhna hai
charagh-e-dard taq-e-jaan pe rakh kar
hawaon ko machalte dekhna hai
zara ek lams ki hiddat ata ho
agar patthar pighalte dekhna hai
pahaDi se pare un ghaTiyon mein
koi chashma ubalte dekhna hai
baDi masum KHwahish hai 'munawar'
kabhi suraj nikalte dekhna hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 387)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.