abhi sach ka diya jalta kahan hai
abhī sach kā diyā jaltā kahāñ hai
havā kā ruḳh abhī badlā kahāñ hai
bahār-e-dasht-ārā.ī kā mausam
zamīnoñ par abhī utrā kahāñ hai
musāfir haiñ ham aise qāfile ke
pata jis ko nahīñ jaanā kahāñ hai
ġhubār-e-āshnā.ī uḌ rahā hai
koī chehra nazar aatā kahāñ hai
sab apne bahr-e-ġham meñ ġhota-zan haiñ
nashāt-e-dard kā dariyā kahāñ hai
pahāḌ ab ābshāreñ ro rahe haiñ
ye bādal TuuT kar barsā kahāñ hai
anā zinda agar hai aadmī meñ
to phir ye maut se Dartā kahāñ hai
mirī har shab mirā har din safar hai
ḳhudā mālūm ab ruknā kahāñ hai
ajab halchal mire andar machī hai
qayāmat hai magar barpā kahāñ hai
bagūle bām-o-dar se pūchhte haiñ
hamāre raqs kā sahrā kahāñ hai
ajab be-ḳhvābiyoñ meñ umr guzrī
jise sochā use dekhā kahāñ hai
diloñ meñ ek rabt-e-bāhamī hai
abhī ye silsila TuuTā kahāñ hai
gadāyān-e-mohabbat pūchhte haiñ
hamārā vo saḳhī daatā kahāñ hai
kulāh-e-hirs kab rakkhī hai sar par
qabā-e-kizb ko pahnā kahāñ hai
hadīs-e-tā.at-o-āyāt-e-haq ko
koī is daur meñ suntā kahāñ hai
shi.ār-e-ijz-o-zauq-e-inkisārī
ye sikka shahr meñ chaltā kahāñ hai
maiñ duniyā ke liye zinda huuñ 'mohsin'
mujhe ḳhud ḳhvāhish-e-duniyā kahāñ hai
abhi sach ka diya jalta kahan hai
hawa ka ruKH abhi badla kahan hai
bahaar-e-dasht-arai ka mausam
zaminon par abhi utra kahan hai
musafir hain hum aise qafile ke
pata jis ko nahin jaana kahan hai
ghubar-e-ashnai uD raha hai
koi chehra nazar aata kahan hai
sab apne bahr-e-gham mein ghota-zan hain
nashat-e-dard ka dariya kahan hai
pahaD ab aabshaaren ro rahe hain
ye baadal TuT kar barsa kahan hai
ana zinda agar hai aadmi mein
to phir ye maut se Darta kahan hai
meri har shab mera har din safar hai
KHuda malum ab rukna kahan hai
ajab halchal mere andar machi hai
qayamat hai magar barpa kahan hai
bagule baam-o-dar se puchhte hain
hamare raqs ka sahra kahan hai
ajab be-KHwabiyon mein umr guzri
jise socha use dekha kahan hai
dilon mein ek rabt-e-bahami hai
abhi ye silsila TuTa kahan hai
gadayan-e-mohabbat puchhte hain
hamara wo saKHi data kahan hai
kulah-e-hirs kab rakkhi hai sar par
qaba-e-kizb ko pahna kahan hai
hadis-e-taat-o-ayat-e-haq ko
koi is daur mein sunta kahan hai
shiar-e-ijz-o-zauq-e-inkisari
ye sikka shahr mein chalta kahan hai
main duniya ke liye zinda hun 'mohsin'
mujhe KHud KHwahish-e-duniya kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.