abhi samjhaen kya tumko abhi tum ishq mein ho
abhī samjhā.eñ kyā tum ko abhī tum ishq meñ ho
abhī to bas duā.eñ lo abhī tum ishq meñ ho
bhale apne hī ghar jaanā hai par bhūloge rasta
kisī ko saath meñ rakkho abhī tum ishq meñ ho
nahīñ mānegā koī bhī burā bilkul zarā bhī
abhī tum chāhe jo kah do abhī tum ishq ho
koī samjhā-bujhā ke raah par phir le na aa.e
kisī ke paas mat baiTho abhī tum ishq meñ ho
tumhāre haath meñ jaltī rahe cigarette musalsal
kaleje ko zarā phūñko abhī tum ishq meñ ho
vo parsoñ bhī nahīñ aayā nahīñ aayā vo kal bhī
gino mat rāsta dekho abhī tum ishq meñ ho
abhi samjhaen kya tum ko abhi tum ishq mein ho
abhi to bas duaen lo abhi tum ishq mein ho
bhale apne hi ghar jaana hai par bhuloge rasta
kisi ko sath mein rakkho abhi tum ishq mein ho
nahin manega koi bhi bura bilkul zara bhi
abhi tum chahe jo kah do abhi tum ishq ho
koi samjha-bujha ke rah par phir le na aae
kisi ke pas mat baiTho abhi tum ishq mein ho
tumhaare hath mein jalti rahe cigarette musalsal
kaleje ko zara phunko abhi tum ishq mein ho
wo parson bhi nahin aaya nahin aaya wo kal bhi
gino mat rasta dekho abhi tum ishq mein ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.