abhi surur-e-jam hai to hosh hai qarar hai
abhī surūr-e-jām hai to hosh hai qarār hai
ye vahshatoñ kā daur hai na ishq hai na pyaar hai
vo lauT aa.egā agar uḌaan ḳhatm ho ga.ī
abhī to āsmāñ meñ hai abhī to dhun savār hai
bhaTak rahī hai ruuh kyoñ kabhī nahīñ lagā tumheñ
chukānā baaqī rah gayā jo jism kā udhār hai
lo mil gayā na ḳhaak meñ ye hashr hai sharīr kā
vo chaar īñTeñ dekh lo vo merī hī mazār hai
use kahā bhī jaa.e kyā abhī nahīñ sunegā vo
nayā nayā sā shauq hai nayā nayā sā pyaar hai
abhi surur-e-jam hai to hosh hai qarar hai
ye wahshaton ka daur hai na ishq hai na pyar hai
wo lauT aaega agar uDan KHatm ho gai
abhi to aasman mein hai abhi to dhun sawar hai
bhaTak rahi hai ruh kyon kabhi nahin laga tumhein
chukana baqi rah gaya jo jism ka udhaar hai
lo mil gaya na KHak mein ye hashr hai sharir ka
wo chaar inTen dekh lo wo meri hi mazar hai
use kaha bhi jae kya abhi nahin sunega wo
naya naya sa shauq hai naya naya sa pyar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.