abhi tak jis ko apnaya nahin tha
abhī tak jis ko apnāyā nahīñ thā
vo sirf ik dhuup thī saaya nahīñ thā
gharauñde ret ke ban to ga.e the
Thahar jā.eñge ye sochā nahīñ thā
na jaane merī bastī meñ huā kyā
vahī saḌkeñ thiiñ hangāma nahīñ thā
jise ḳhvāboñ ke shīshoñ meñ rakhā thā
vo aisā thā magar vaisā nahīñ thā
nagar meñ vārdāteñ ho chukī thiiñ
magar mai-ḳhānoñ meñ charchā nahīñ thā
jo sadiyoñ ke mizājoñ ko badal de
vo lamha aaj tak guzrā nahīñ thā
sabhī ko matlabī paayā jahāñ meñ
har ik apnā thā par apnā nahīñ thā
mire saath aur kitne the masā.il
hisār-e-zāt meñ tanhā nahīñ thā
'razā' kyā tum ne apnā aks dekhā
vo patthar thā magar shīsha nahīñ thā
abhi tak jis ko apnaya nahin tha
wo sirf ek dhup thi saya nahin tha
gharaunde ret ke ban to gae the
Thahar jaenge ye socha nahin tha
na jaane meri basti mein hua kya
wahi saDken thin hangama nahin tha
jise KHwabon ke shishon mein rakha tha
wo aisa tha magar waisa nahin tha
nagar mein wardaten ho chuki thin
magar mai-KHanon mein charcha nahin tha
jo sadiyon ke mizajon ko badal de
wo lamha aaj tak guzra nahin tha
sabhi ko matlabi paya jahan mein
har ek apna tha par apna nahin tha
mere sath aur kitne the masail
hisar-e-zat mein tanha nahin tha
'raza' kya tum ne apna aks dekha
wo patthar tha magar shisha nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.