abhi tak jo nahin dekhe wo manzar dekh lete hain
abhi tak jo nahin dekhe wo manzar dekh lete hain
Bharat Bhushan Pant
MORE BYBharat Bhushan Pant
abhī tak jo nahīñ dekhe vo manzar dekh lete haiñ
chalo aapas meñ ham āñkheñ badal kar dekh lete haiñ
koī bhī ḳhvāb ho āñkhoñ se bach kar rah nahīñ saktā
jazīre chhup bhī jaa.eñ to samundar dekh lete haiñ
fazā ko chiir dete haiñ parinde apnī chīḳhoñ se
zamīñ par jab kahīñ bikhre hue par dekh lete haiñ
unheñ fankār ko pahchānñā bhī ḳhuub aatā hai
hunar hai kis ke hāthoñ meñ ye patthar dekh lete haiñ
hameñ ma.alūm hai ham ḳhairiyat se āfiyat se haiñ
magar ham ehtiyātan dosh par sar dekh lete haiñ
abhi tak jo nahin dekhe wo manzar dekh lete hain
chalo aapas mein hum aankhen badal kar dekh lete hain
koi bhi KHwab ho aankhon se bach kar rah nahin sakta
jazire chhup bhi jaen to samundar dekh lete hain
faza ko chir dete hain parinde apni chiKHon se
zamin par jab kahin bikhre hue par dekh lete hain
unhen fankar ko pahchanna bhi KHub aata hai
hunar hai kis ke hathon mein ye patthar dekh lete hain
hamein malum hai hum KHairiyat se aafiyat se hain
magar hum ehtiyatan dosh par sar dekh lete hain
- Book : Khuvabon Ka Karvan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.