abhi tak sans lamhe bun rahi hai
abhī tak saañs lamhe bun rahī hai
samundar se purānī dostī hai
ye jo āñkhoñ meñ ik duniyā khaḌī hai
isī meñ kuchh haqīqat rah ga.ī hai
nahīñ pahchānā us ne jab se mujh ko
zamīñ kuchh ajnabī sī lag rahī hai
havā mujh se bahut hī bad-gumāñ hai
magar mujh se hī lag kar chal rahī hai
isī ko apnā sarmāya samajh lo
agar kuchh aas baaqī rah ga.ī hai
jo kal tak sirf mere naam meñ thī
vo ḳhushbū aaj tujh ko yaad bhī hai
abhi tak sans lamhe bun rahi hai
samundar se purani dosti hai
ye jo aankhon mein ek duniya khaDi hai
isi mein kuchh haqiqat rah gai hai
nahin pahchana us ne jab se mujh ko
zamin kuchh ajnabi si lag rahi hai
hawa mujh se bahut hi bad-guman hai
magar mujh se hi lag kar chal rahi hai
isi ko apna sarmaya samajh lo
agar kuchh aas baqi rah gai hai
jo kal tak sirf mere nam mein thi
wo KHushbu aaj tujh ko yaad bhi hai
- Book : Hukm Nama (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.