abhi tak tishna-e-takmil meri zindagani hai
abhī tak tishna-e-takmīl merī zindagānī hai
abhī tak intizār-e-dost kī baaqī kahānī hai
ye apnī zindagī ramz-e-man-o-tū kī kahānī hai
na kuchh qurb-e-makānī hai na kuchh bo'd-e-zamānī hai
murattab kar rahā huuñ dāstāñ husn-e-gurezāñ kī
tabī'at meñ ba-rū-e-kār dariyā kī ravānī hai
tumhārā husn bhī kāmil hamārā 'ishq bhī qābil
na is kā koī ham-sar hai na is kā koī saanī hai
'jamālī' yās-o-hasrat ke sivā kuchh bhī nahīñ paayā
ye apnī zindagī bargashta qismat kī kahānī hai
abhi tak tishna-e-takmil meri zindagani hai
abhi tak intizar-e-dost ki baqi kahani hai
ye apni zindagi ramz-e-man-o-tu ki kahani hai
na kuchh qurb-e-makani hai na kuchh bo'd-e-zamani hai
murattab kar raha hun dastan husn-e-gurezan ki
tabi'at mein ba-ru-e-kar dariya ki rawani hai
tumhaara husn bhi kaamil hamara 'ishq bhi qabil
na is ka koi ham-sar hai na is ka koi sani hai
'jamali' yas-o-hasrat ke siwa kuchh bhi nahin paya
ye apni zindagi bargashta qismat ki kahani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.