abhi tak yaad hai mujhko mera sarshaar ho jaana
abhī tak yaad hai mujh ko mirā sarshār ho jaanā
nazar kā nā-gahāñ uThnā tirā dīdār ho jaanā
mirī hastī kā hāsil ban gayā vo qīmtī lamha
vo ik Tuk dekhnā un kā mirā gulnār ho jaanā
vahī lamha ġhanīmat jāniye jo hañs ke kaT jaa.e
sukūñ khonā hai yaksar zindagī kā baar ho jaanā
abhī kal khelte phirte the āñkheñ miich kar ham tum
tumhīñ se paḌ rahā hai ab hameñ hushyār ho jaanā
na.ī ḳhvāhish har ik lamha tamannā chāñd chhūne kī
humaknā dil kā siine meñ mirā bezār ho jaanā
na dil meñ jazba-e-īmāñ na saudā sarfaroshī kā
to phir kyoñ chāhte ho aag kā gulzār ho jaanā
dabī hai phir koī sehn-e-chaman meñ aaj chingārī
jo tum jaanā gulistāñ meñ zarā hushyār ho jaanā
jo dil kā imtihāñ chāho to phir kachchā ghaḌā lā do
vafā meñ Duub jaanā hai nadī ke paar ho jaanā
kahāñ tak saath degā jazba-e-īsār 'farzāna'
lahū denā chaman ko aur pas-e-dīvār ho jaanā
abhi tak yaad hai mujh ko mera sarshaar ho jaana
nazar ka na-gahan uThna tera didar ho jaana
meri hasti ka hasil ban gaya wo qimti lamha
wo ek Tuk dekhna un ka mera gulnar ho jaana
wahi lamha ghanimat jaaniye jo hans ke kaT jae
sukun khona hai yaksar zindagi ka bar ho jaana
abhi kal khelte phirte the aankhen mich kar hum tum
tumhin se paD raha hai ab hamein hushyar ho jaana
nai KHwahish har ek lamha tamanna chand chhune ki
humakna dil ka sine mein mera bezar ho jaana
na dil mein jazba-e-iman na sauda sarfaroshi ka
to phir kyon chahte ho aag ka gulzar ho jaana
dabi hai phir koi sehn-e-chaman mein aaj chingari
jo tum jaana gulistan mein zara hushyar ho jaana
jo dil ka imtihan chaho to phir kachcha ghaDa la do
wafa mein Dub jaana hai nadi ke par ho jaana
kahan tak sath dega jazba-e-isar 'farzana'
lahu dena chaman ko aur pas-e-diwar ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.