abhi to itna andhera nazar nahin aata
abhī to itnā añdherā nazar nahīñ aatā
to saath kyoñ merā saayā nazar nahīñ aatā
in āñkhoñ se ye zamāna to dekh saktā huuñ
bas ek apnā hī chehra nazar nahīñ aatā
jab ek andhā añdhere meñ dekh letā hai
mujhe ujāloñ meñ kyā kyā nazar nahīñ aatā
bañdhī yaqīn kī paTTī hamārī āñkhoñ par
so chhal fareb yā dhoka nazar nahīñ aatā
jo dikh rahe haiñ vo chābī ke sab khilaune haiñ
yahāñ to koī bhī zinda nazar nahīñ aatā
tarāshe but kī to tārīf sabhī karte par
hamāre haath kā chhālā nazar nahīñ aatā
abhī to phailī yahāñ dhuñdh itnī nafrat kī
kisī ko pyaar kā rasta nazar nahīñ aatā
'anīs' yuuñ to hazāroñ se roz miltā huuñ
magar mujhe koī tum sā nazar nahīñ aatā
abhi to itna andhera nazar nahin aata
to sath kyon mera saya nazar nahin aata
in aankhon se ye zamana to dekh sakta hun
bas ek apna hi chehra nazar nahin aata
jab ek andha andhere mein dekh leta hai
mujhe ujalon mein kya kya nazar nahin aata
bandhi yaqin ki paTTi hamari aankhon par
so chhal fareb ya dhoka nazar nahin aata
jo dikh rahe hain wo chabi ke sab khilaune hain
yahan to koi bhi zinda nazar nahin aata
tarashe but ki to tarif sabhi karte par
hamare hath ka chhaala nazar nahin aata
abhi to phaili yahan dhundh itni nafrat ki
kisi ko pyar ka rasta nazar nahin aata
'anis' yun to hazaron se roz milta hun
magar mujhe koi tum sa nazar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.