abhi to yahi dekhna chahta hun
abhī to yahī dekhnā chāhtā huuñ
nahīñ chāhtā un ko yā chāhtā huuñ
vo kahte haiñ tum mujh se kyā chāhte ho
yahī kuchh to maiñ jānñā chāhtā huuñ
mirī niyatoñ par nazar rakhne vaalo
ḳhudārā batā do maiñ kyā chāhtā huuñ
na samjhā koī jis ko vo harf huuñ maiñ
ġhalat ho gayā huuñ miTā chāhtā huuñ
vo pur-josh aañsū vo ḳhāmosh aaheñ
vahī ishq kī ibtidā chāhtā huuñ
maiñ samjhā vo kuchh pūchhnā chāhte haiñ
vo samjhe ki maiñ kuchh kahā chāhtā huuñ
abhi to yahi dekhna chahta hun
nahin chahta un ko ya chahta hun
wo kahte hain tum mujh se kya chahte ho
yahi kuchh to main jaanna chahta hun
meri niyaton par nazar rakhne walo
KHudara bata do main kya chahta hun
na samjha koi jis ko wo harf hun main
ghalat ho gaya hun miTa chahta hun
wo pur-josh aansu wo KHamosh aahen
wahi ishq ki ibtida chahta hun
main samjha wo kuchh puchhna chahte hain
wo samjhe ki main kuchh kaha chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.