abhi to zaKHm purane na bhul pae hain
abhī to zaḳhm purāne na bhuul paa.e haiñ
huzūr phir mirī vahshat pe muskurā.e haiñ
ye husn-e-abr-e-ravāñ shola-hā-e-lāla-o-gul
tire jamāl kī ra.anā.iyoñ ke saa.e haiñ
vahīñ vahīñ pe sambhālā tire tasavvur ne
jahāñ jahāñ bhī qadam mere Dagmagā.e haiñ
sunā chukī hai mujhe bhī ḳhizāñ kī ḳhāmoshī
jo giit tū ne bahāroñ ke saath gaa.e haiñ
abhi to zaKHm purane na bhul pae hain
huzur phir meri wahshat pe muskurae hain
ye husn-e-abr-e-rawan shola-ha-e-lala-o-gul
tere jamal ki ranaiyon ke sae hain
wahin wahin pe sambhaala tere tasawwur ne
jahan jahan bhi qadam mere Dagmagae hain
suna chuki hai mujhe bhi KHizan ki KHamoshi
jo git tu ne bahaaron ke sath gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.