Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi to zinda hain kahte ho yara kya hoga

Muzdam Khan

abhi to zinda hain kahte ho yara kya hoga

Muzdam Khan

MORE BYMuzdam Khan

    abhī to zinda haiñ kahte ho yaarā kyā hogā

    hamāre baad na jaane tumhārā kyā hogā

    hamārā ḳhud pe guzārā nahīñ hai muddat se

    hamāre saath kisī guzārā kyā hogā

    vo mere saath ġharībī meñ bhī bahut ḳhush hai

    shab-e-siyāh jab aa.ī sitāra kyā hogā

    ye dekhne ke liye kyoñ na ek din mar jaa.eñ

    hamāre saath usī din dobāra kyā hogā

    vo jis ke nisf ne pāgal kiyā hai duniyā ko

    maiñ sochtā huuñ haqīqat meñ saarā kyā hogā

    hamāre naqsh-e-qadam se qadam milāo magar

    hamārā kuchh na banā to tumhārā kyā hogā

    zabān lipTī huī hai gale se murde

    savāl ye nahīñ kaise pukārā kyā hogā

    vo mil ke jaa.e to lagtā nahīñ milā hai kabhī

    agar kināra kare to kināra kyā hogā

    jinheñ patā thā sabhī kuchh vo log bhī na rahe

    hameñ patā nahīñ kuchh hamārā kyā hogā

    pahan liyā hai use aañkh muuñd kar maiñ ne

    vagarna sochtā rahtā utārā kyā hogā

    abhi to zinda hain kahte ho yara kya hoga

    hamare baad na jaane tumhaara kya hoga

    hamara KHud pe guzara nahin hai muddat se

    hamare sath kisi ka guzara kya hoga

    wo mere sath gharibi mein bhi bahut KHush hai

    shab-e-siyah jab aai sitara kya hoga

    ye dekhne ke liye kyon na ek din mar jaen

    hamare sath usi din dobara kya hoga

    wo jis ke nisf ne pagal kiya hai duniya ko

    main sochta hun haqiqat mein sara kya hoga

    hamare naqsh-e-qadam se qadam milao magar

    hamara kuchh na bana to tumhaara kya hoga

    zaban lipTi hui hai gale se murde ki

    sawal ye nahin kaise pukara kya hoga

    wo mil ke jae to lagta nahin mila hai kabhi

    agar kinara kare to kinara kya hoga

    jinhen pata tha sabhi kuchh wo log bhi na rahe

    hamein pata hi nahin kuchh hamara kya hoga

    pahan liya hai use aankh mund kar main ne

    wagarna sochta rahta utara kya hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now