abhi us tak kahan pahuncha samundar
abhī us tak kahāñ pahuñchā samundar
vo apnī zaat meñ aisā samundar
zamīñ oḌhe hai merī sabz chādar
mire āñchal meñ hai niilā samundar
mujhe bādal kī mahmil meñ biThā ke
tumhāre shahr tak laayā samundar
mirā pairāya-e-iz.hār dekheñ
maiñ huuñ miTTī havā sho.ala samundar
mujhe mahdūd zehnoñ se shikāyat
bahut achchhā lagā phailā samundar
mohabbat kī jahāñ barsī hai shabnam
diloñ ke ho ga.e sahrā samundar
mujhe kyā tajraba kam pāniyoñ kā
ki merā shauq hai gahrā samundar
samajh letā hai ye sab dil kī bāteñ
purāne dostoñ jaisā samundar
abhi us tak kahan pahuncha samundar
wo apni zat mein aisa samundar
zamin oDhe hai meri sabz chadar
mere aanchal mein hai nila samundar
mujhe baadal ki mahmil mein biTha ke
tumhaare shahr tak laya samundar
mera pairaya-e-izhaar dekhen
main hun miTTi hawa shoala samundar
mujhe mahdud zehnon se shikayat
bahut achchha laga phaila samundar
mohabbat ki jahan barsi hai shabnam
dilon ke ho gae sahra samundar
mujhe kya tajraba kam paniyon ka
ki mera shauq hai gahra samundar
samajh leta hai ye sab dil ki baaten
purane doston jaisa samundar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.