abhi wo rabta TuTa nahin hai
abhī vo rābta TuuTā nahīñ hai
musalsal haal jo pūchhā nahīñ hai
batā duuñ ziist us kī fikr meñ hī
magar afsos vo rishta nahīñ hai
kisī sahrā meñ Duubī huuñ kahīñ maiñ
kisī se ab mujhe ḳhatrā nahīñ hai
diye duniyā ne kitne zaḳhm mujh ko
magar āñkhoñ meñ ik qatra nahīñ hai
hamāre paas bas tum hī nahīñ ho
vagarna paas jānāñ kyā nahīñ hai
abhi wo rabta TuTa nahin hai
musalsal haal jo puchha nahin hai
bata dun zist us ki fikr mein hi
magar afsos wo rishta nahin hai
kisi sahra mein Dubi hun kahin main
kisi se ab mujhe KHatra nahin hai
diye duniya ne kitne zaKHm mujh ko
magar aankhon mein ek qatra nahin hai
hamare pas bas tum hi nahin ho
wagarna pas jaanan kya nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.