abhi yaqin ke mansab pe mat biThao mujhe
abhī yaqīn ke mansab pe mat biThāo mujhe
maiñ chāhtā huuñ zarā aur āzmāo mujhe
kise batā.ūñ ki andar se toḌ detā hai
kabhī-kabhār ye bāhar kā rakh-rakhāv mujhe
vo jis kahānī ke āḳhir meñ donoñ mil jaa.eñ
agar ho zehn meñ koī to phir sunāo mujhe
maiñ aa.e din ke ḳhitāboñ se aa gayā huuñ tang
jo ho sake to mire naam se bulāo mujhe
bahut se ḳhānoñ meñ taqsīm kar ke chhoḌegā
dil-o-dimāġh kā 'nādir' ye bhed-bhāv mujhe
abhi yaqin ke mansab pe mat biThao mujhe
main chahta hun zara aur aazmao mujhe
kise bataun ki andar se toD deta hai
kabhi-kabhaar ye bahar ka rakh-rakhaw mujhe
wo jis kahani ke aaKHir mein donon mil jaen
agar ho zehn mein koi to phir sunao mujhe
main aae din ke KHitabon se aa gaya hun tang
jo ho sake to mere nam se bulao mujhe
bahut se KHanon mein taqsim kar ke chhoDega
dil-o-dimagh ka 'nadir' ye bhed-bhaw mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.