abhi zara si hawa lagi hai
abhī zarā sī havā lagī hai
abhī mohabbat nahīñ huī hai
kisī pe mar ke hai jiinā sīkhā
jo jaan de dī to jaañ bachī hai
jo maiñ ne pūchhā ki ishq hai kyā
vo hans ke bole ye zindagī hai
jo qalb ko zindagī na baḳhshe
vo bandagī bhī kyā bandagī hai
yuuñ ilm mālūm ko na samjho
ye ilm mālūm kī nafī hai
ye ishq kī hai namāz jis meñ
na to imaam aur na muqtadī hai
tumhārī maulā kī khoj 'ālam'
ye haath kañgan ko aarsī hai
abhi zara si hawa lagi hai
abhi mohabbat nahin hui hai
kisi pe mar ke hai jina sikha
jo jaan de di to jaan bachi hai
jo main ne puchha ki ishq hai kya
wo hans ke bole ye zindagi hai
jo qalb ko zindagi na baKHshe
wo bandagi bhi kya bandagi hai
yun ilm malum ko na samjho
ye ilm malum ki nafi hai
ye ishq ki hai namaz jis mein
na to imam aur na muqtadi hai
tumhaari maula ki khoj 'alam'
ye hath kangan ko aarsi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.