abr chhaega to barsat bhi ho jaegi
abr chhā.egā to barsāt bhī ho jā.egī
diid hogī to mulāqāt bhī ho jā.egī
ai dil-e-husn-e-talab mashq-e-tasavvur tū baḌhā
phir jo chāhegā vahī baat bhī ho jā.egī
sar jhukā.e hue baiThe ho abas bāda-kasho
jaam uThāoge to barsāt bhī ho jā.egī
aaj us ne na.e andāz se dekhā hai mujhe
ġhāliban aaj koī baat bhī ho jā.egī
be-ḳhudī sirf dalīl-e-ġham-e-pinhāñ hī nahīñ
ek din kāshif-e-hālāt bhī ho jā.egī
bul-havas dahr ke rañgīn manāzir se na khel
din huā hai to yahāñ raat bhī ho jā.egī
jaan de kar tirī mahfil meñ kabhī jān-e-'azīz'
jaur kī tere mukāfāt bhī ho jā.egī
abr chhaega to barsat bhi ho jaegi
did hogi to mulaqat bhi ho jaegi
ai dil-e-husn-e-talab mashq-e-tasawwur tu baDha
phir jo chahega wahi baat bhi ho jaegi
sar jhukae hue baiThe ho abas baada-kasho
jam uThaoge to barsat bhi ho jaegi
aaj us ne nae andaz se dekha hai mujhe
ghaaliban aaj koi baat bhi ho jaegi
be-KHudi sirf dalil-e-gham-e-pinhan hi nahin
ek din kashif-e-haalat bhi ho jaegi
bul-hawas dahr ke rangin manazir se na khel
din hua hai to yahan raat bhi ho jaegi
jaan de kar teri mahfil mein kabhi jaan-e-'aziz'
jaur ki tere mukafat bhi ho jaegi
- Book : Mehraab (Pg. 89)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Maktaba Nida-e-ittiihaad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.