abr-e-baran ka intizar kiya
abr-e-bārāñ kā intizār kiyā
jab kabhī diida ashk-bār kiyā
tum to phūloñ kī raah se guzre
maiñ ne ne kāñToñ ko rahguzār kiyā
irtiqā-e-yaqīñ kā zāmin huuñ
jab se imkāñ pe e.atibār kiyā
rakh kar aapas meñ iḳhtilāf sadā
ham ne īmāñ ko sharmsār kiyā
yuuñ to hākim bahut hī aa.e yahāñ
ḳhatm kis ne par intishār kiyā
rab kā ehsān maano ki rab ne
nūr-e-haq ham pe āshkār kiyā
abr-e-baran ka intizar kiya
jab kabhi dida ashk-bar kiya
tum to phulon ki rah se guzre
main ne ne kanTon ko rahguzar kiya
irtiqa-e-yaqin ka zamin hun
jab se imkan pe eatibar kiya
rakh kar aapas mein iKHtilaf sada
hum ne iman ko sharmsar kiya
yun to hakim bahut hi aae yahan
KHatm kis ne par intishaar kiya
rab ka ehsan mano ki rab ne
nur-e-haq hum pe aashkar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.