abr-e-bahaaran dushman apna
abr-e-bahārāñ dushman apnā
phuul se ḳhālī āñgan apnā
laakh bachā.eñ gul-chīnoñ se
zad meñ hai is kī gulshan apnā
hirs-o-havā se makr-o-riyā se
paak hai ab tak dāman apnā
hariyālī kī jot jagā.e
barkhā-rut meñ ḳhirman apnā
mamtā kā har zikr hiñDolā
jhuul rahā hai bachpan apnā
ahl-e-vafā pe kyā biitī hai
bol rahā hai darpan apnā
vaqt 'jamīl' aaya hai aisā
bojh banā hai jīvan apnā
abr-e-bahaaran dushman apna
phul se KHali aangan apna
lakh bachaen gul-chinon se
zad mein hai is ki gulshan apna
hirs-o-hawa se makr-o-riya se
pak hai ab tak daman apna
hariyali ki jot jagae
barkha-rut mein KHirman apna
mamta ka har zikr hinDola
jhul raha hai bachpan apna
ahl-e-wafa pe kya biti hai
bol raha hai darpan apna
waqt 'jamil' aaya hai aisa
bojh bana hai jiwan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.