Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abr-e-kohsar teri aas ke mare hue hum

Saabir Usmani

abr-e-kohsar teri aas ke mare hue hum

Saabir Usmani

MORE BYSaabir Usmani

    abr-e-kohsār tirī aas ke maare hue ham

    mar jaa.eñ na kahīñ pyaas ke maare hue ham

    apnī taqdīr kahāñ raam ai ahl-e-jahāñ

    ghar na aa pā.eñge banvās ke maare hue ham

    kyā sañvāreñge kabhī haal kabhī mustaqbil

    ek muddat se haiñ itihās ke maare hue ham

    bhuul jaanā tumheñ āsān kahāñ aaj bhī hai

    bhuul sakte nahīñ ehsās ke maare hue ham

    jo bhī jiine asāsa hai rakheñge girvī

    varna mar jā.eñge iflās ke maare hue ham

    abr-e-kohsar teri aas ke mare hue hum

    mar hi jaen na kahin pyas ke mare hue hum

    apni taqdir kahan ram si ai ahl-e-jahan

    ghar na aa paenge banwas ke mare hue hum

    kya sanwarenge kabhi haal kabhi mustaqbil

    ek muddat se hain itihas ke mare hue hum

    bhul jaana tumhein aasan kahan aaj bhi hai

    bhul sakte nahin ehsas ke mare hue hum

    jo bhi jine ka asasa hai rakhenge girwi

    warna mar jaenge iflas ke mare hue hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now