abr har khet pe har rahguzar par barse
abr har khet pe har rāhguzar par barse
ġham vo barkhā jo mirī ruuh ke andar barse
aa.ī sāvan kī ghaTā ghir ke magar jam na sakī
ashk āñkhoñ meñ umañD aa.e to shab bhar barse
bazm meñ un pe huī lāla-o-gul kī bārish
aur mire sar pe jo barse bhī to patthar barse
biite sāvan meñ ye manzar bhī nazar se guzrā
sar-e-bāzār jab oloñ kī tarah sar barse
ajnabī des na thā kūcha-e-qātil bhī na thā
apne hī shahr meñ 'āzād' pe ḳhanjar barse
abr har khet pe har rahguzar par barse
gham wo barkha jo meri ruh ke andar barse
aai sawan ki ghaTa ghir ke magar jam na saki
ashk aankhon mein umanD aae to shab bhar barse
bazm mein un pe hui lala-o-gul ki barish
aur mere sar pe jo barse bhi to patthar barse
bite sawan mein ye manzar bhi nazar se guzra
sar-e-bazar jab olon ki tarah sar barse
ajnabi des na tha kucha-e-qatil bhi na tha
apne hi shahr mein 'azad' pe KHanjar barse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.