abr ka saya dhup ki chadar tere nam
abr kā saaya dhuup kī chādar tere naam
is dhartī ke saare manzar tere naam
shab ke girye se fursat kī sabīl kahāñ
jaisā bhī hai apnā muqaddar tere naam
girtī bijlī jaltā nasheman hañste log
mere patthar mere gul-e-tar tere naam
galī galī meñ tez havā kī sargoshī
aur ghar ghar ke sarv-o-sanobar tere naam
chup rah kar maiñ jī luuñ zulm kī nagrī meñ
yā maiñ harf sajā luuñ lab par tere naam
razm meñ saarī sulh kī bāteñ aur 'bedī'
bazm meñ sab chalte hue ḳhanjar tere naam
abr ka saya dhup ki chadar tere nam
is dharti ke sare manzar tere nam
shab ke girye se fursat ki sabil kahan
jaisa bhi hai apna muqaddar tere nam
girti bijli jalta nasheman hanste log
mere patthar mere gul-e-tar tere nam
gali gali mein tez hawa ki sargoshi
aur ghar ghar ke sarw-o-sanobar tere nam
chup rah kar main ji lun zulm ki nagri mein
ya main harf saja lun lab par tere nam
razm mein sari sulh ki baaten aur 'bedi'
bazm mein sab chalte hue KHanjar tere nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.